Search

Blogger Blog mai New Post kaise likhe

Blogger Blog mai New Post kaise likhe


Hello dosto apka swagat hai Tech18 mai. Aj hum apko Blogger Blog mai New Post kaise likhe is bare mai batayenge.

अगर आपको नहीं पता की Blogger मे Free Blog कैसे बनाये तो आप हमारी ये post चेक करे :   ब्लॉग कैसे बनायें

Blogger Blog mai New Post kaise likhe:

Step 1 - Sabse pehle aap Blogger.com par jake apna account login kare lijiye. 

Step 2 - Ab aap blogger ke dashboard par jaye aur New Post option pe click kare.

Blogger Blog mai New Post kaise likhe


Step 3 - New post pe click karte hi ek new page open hoga. Yeha apko post likhna hoga.

Blogger Blog mai New Post kaise likhe


1Post title me aapko jo ap post likh rahe hai usko ek acha sa title dena hoga. Title post ke sabse top mai show hota hai.



2. Yeha se aap post ko edit kar sakte ho. Jese ki post ke kisi word ka font size chota ya bada karna, text ki colour aur background change karna, lisi dusri post ke link add, Post me photos aur video add karna, post k words ya line ko Bold, Italics mai likhna or bhi bahut kuch ap yaha se kar sakte ho.

3. Yeha par apna post likhna hoga. Aap apna article jo apko new post mai likhna hai wo sab details aap yaha pe hi likjenge. Post me jitna ho sakhe jada word likhe or logo ko easily samaj mai aa sake asi post likhe.

4. Post Settings ke andar apko 6 options show honge :

Labels :  Yaha aapko apni post ko ek Label dena hoga. Aapka post kis topic par he iske label dena hoga. Jese ki aap sports se related ek article likhre hai to aap Labels mai Sports likh sakte hai. Ya fir aap Blogging se related kuch likh rahe hai to aap label mai Blogging likh sakte hai.

Schedule :  Schedule me aapka post Publish karne ka schedule ata hai jaise ki post ki publish hone ki Date, month time etc .

Permalink : Yaha se aap apne post ke URL ko edit kar sakte ho.

Location : Yeha pe aap apni location de sakte ho.

Search Description : Yeha pe apko apni post ka description dena hoga yani ki post se sambandhit kuch likhna hoga. Aapke post se related kuch jankari likhni hogi.

Options : Yaha se aap apne blog post ki settings change kar sakte ho.



5. Yaha char Options he Publish, Save, Preview, Close –

Publish - Aap apni Post ko pura likhne ke bad publish pe click karte hi aapki post Blog par dikhne lagega or apke visitors aapke blog mai ake apki post padh sakte hai.

SaveSave mai click karke aap apni post ko save karke bad mai post karne ke lie Draft mai rakh sakte ho.

Preview - Post ko publish karne se pehle post apke visitors ko kaisi show hogi ye ap Preview pe click karke check kar sakte ho.

Close Close pe click karte hi apka post ka page band ho jayega or aap wapas blogger dashboard mai pahuch jaoge.

Rs.999 mai ख़रीदे सबसे सस्ता मोबाइल फ़ोन

Friends mai umeed karta hu ki apko ab bahut hi asani se samaj mai aa gaya hoga ki Blogger blog mai New Post kaise likhe.

तो friends आपको अगर हमारी ये पोस्ट acchi लगी तो इसे jarur share करिए. अगर इसके अलावा भी आपके कोई सवाल है तो आप नीचे कमेंट बॉक्स में पूछ सकते हैं। अगर आप मुझे कुछ सुझाव देना चाहते तो जरूर दीजिए।

2 comments:

Powered by Blogger.