Search

Google Adsense Approval Tricks in Hindi

Google Adsense Approval Tricks and Tips


Mene apni pichli post mai apko bataya ki How to Convert Adsense Hosted to Non Hosted account .
Aj hum बात karenge Blogger mai Google Adsense ka approval jaldi kese paye.To chaliye post shuru karte hai.
Google ne ek criteria fix kiya hai jiske andar wo  AdSense k ads lagane  k lie blog ya website ko approve Karte Hain. Google AdSense ka approval paana har blogger ka dream hota h. Kyuki Google Adsense hi sabse best or trusted Ads network hai. Or ap isse achi kamai bhi kar sakte hai. Par Adsense ka Approval paane ke lie hume Adsense ka policy ka sahi se paalan karna padta hai.
Aj mai apko jald se jald Google  Adsense approval paane k kuch tips batauga.

In tips ko follow karke mujhe apne dusre blog m 1 mahine k बाद Google Adsense ka approval mil gaya tha.

Google Adsense Account jaldi Approved karane ke liye kuch tips:


Buy Custom Domain


Sabse pehle to apko apne blog k lie Go Daddy ya kisi or platform se Custom Domain buy karna hoga. Agar aap custom domain (.com) nahi buy karte hai to subdomain se Adsense approval kai chances kaafi kam ho jate hai.

Quality Content


Apke blog m quality content hona chahiye. Or unique content hona chahiye. Apka content kahi se bhi copy kia hua nahi hona chahiye. Or apki blog posts 500 words se upar ki honi chahiye. Or jab apke blog mai 15 plus posts ho jaye uske bad hi ap Adsense k lie apply kariye. Or regular posts likhte rahiye .

Blog Design


Apke blog ka design bilkul neat and clean hona chahiye. Apke blog ka template bahut hi good looking hona chahiye. Or apke blog ki Navigation bahut hi आसान honi chahiye.


Decent Blog Traffic


Traffic utna jada matter nahi karta par fir bhi Google Adsense account ka account approved karane ke lie apke blog mai thik-thak traffic bhi hona chahiye. Per day k 200 plus page views hone chahiye. Agar apka per day ka itna view ata hai to tab hi ap Adsense ke lie apply kariye.


Add Important Pages




Apke blog ya website mai kuch jaruri pages hone chahiye jese ki  About Us, Contact Us , Privacy Policy, Disclaimer etc.
Adsense approval karane ke liye ye pages ka blog mai hona bahut hi jada important hai.

Say no to Copy-Paste


Agar apko Adsense k lie apply karna hai to kabhi bhi kisi ki post ko copy mat kriye. Agar ap kisi ki post copy karke apne blog mai dalte hai to apka kabhi bi Adsense approve nahi hoga.

Avoid Copyright Images


Apko copyright images ka use bilkul bhi nahi karna hai apne blogs mai. Agar ap google se download karke copyright images apne blog mai laga rahe hai to apka adsense kabhi bhi approve nahi hoga.
Aap Google se "Labeled for reuse" wali images use kare ya jis image k apke paas rights hai wo hi use kare .


NOTE: Agar aapki age 18 saal se kam hai to apko Google Adsense ka approval nahi milega.
Or agar apke blog mai  Adult content, copyright content, drug-alchohol related content, hacking se related content or dusre illegal content hai to apka Adsense account kabhi bhi approve nahi hoga.

To friends mai apko yahi recommend karuga ki Blog ke liye Adsense approval karane ke lie ap regular post likhiye . Agar apka Adsense application reject ho jati hai to ab bilkul bhi naa घबराए aap upar बताई hui sabhi tips sahi se follow karte hai to apka adsense account jarur accept hoga.

Agar apko humse koi Question puchna hai to comment karke jarur puchiye.
Dhanyawad

2 comments:

Powered by Blogger.